About Neta Ji Udhyog
Sahawar wale Vaidhy shripal Netaji ka famous neta jaljeera masala Ek Rasoi ka A To Z masala hai. yah masala Khadya padarthon ko swadisht v ruchikar banata hai. Jaise pani puri Ka chatpata Pani taiyar karna, shikanji banana, garmiyon mein special Neta jaljeera Pani taiyar karna ,fal, fruit, salad daal, Daliya ,Khichdi, chips, papad ,Achar, Hara Dhaniya pudina ki Chatni banana, etc .Rasoi ke sabhi prakar ke vyanjanon me Neta jaljeera masala ko burak kar prayog Kiya jata hai.
Yah utpadan 50 varsh purv swargiya Vrindavan Das Ji ke suputra swargiya Vedhay shripal Netaji ne Shuru Kiya tha.Aaj Unki mehnat ka prinam Hai Ki yah Neta jaljeera masala desh,Videsh mein upyogkartao dwara prayog Kiya ja raha hai. Ab is kary ko inke suputra Shri Ram Nandan varshney Netaji Kasganj(uttar pradesh)207123 me kar rahe hain.